Kyu Nahi Chhapti Rbi Unlimited Currency -Tech Hindi Tricks
Kyu-Nahi-Chhapti-RBI-Unlimited-Currency
Hello,namskar dosto,
Swagat Hai Aapka Tech Hindi Tricks Blog / Website Par.
friends, india ke pas khud ki currency machine hokar bhi kyu nahi chhapti unlimited currency? Kyu india garib desh hai? Kyu nahi sarkar de deti sabhi logo ko dher sara paisa aur bana deti sabko amir? Ye sawal apke bhi man me kabhi na kabhi jarur aaya hoga.Aaj ke iss post me ham yahi bat janenge ki currency chhapne ki puri chhut hokar bhi rbi kyu nahi chapti unlimited currency? To chalo jan lete hai.

Currency kya hai?

Purane jamane me jab currency nahi thi.Tab agar mere pas rice(chhaval) hai. Apke pas dal hai. Mujhe dal chahiye aur apko riche to ham ek dusre ke saman badal lete the. Yani ek chij ko dekar uske badle koi dusri chi lete the. Aise hi hamara vyavhar chalta tha. Par kuchh samay bad sikke note aa gaye jise logo ne manyata di. Aur apni koi chij sikke ya note lekar dene lage. Friends currency ka matlab yahi hai ki apko koi us chij ke badle koi aur chij de.

RBI Kyu Nahi Chhapti Unlimited Currency?

Friends, jara sochiye agar RBI(Reserve Bank of India) jiske pas unlimited currency chhapne ya print karne ka pura adhikar hai. Agar RBI sabhi logo ko bhar bhar ke paisa bat de to kya hoga. Sahi hai sab log amir ho jayenge. Koi kisi ki gulami nahi karega. Tab kya hoga jab kisan bhi kheto me hal chalana chhod denge kyu ab to vo amir ho gaye hai. Koi bhi subah jaldi uthkar dinbhar kya karna hai? Yah nahi sochega. Kyu ki ab uske pas paisa hai. Ab vo kyu karega kam? Sab apne man ke malik ho jayenge. Sab aalsi ho jayenge.

Friends, agar koi kam hi nahi karega to anaj kon ugayega aur bhi bahut si important chije jo hame rozana chahiye vo kaha se aayega. Jab sab amir jo aayenge.Sabke pas paisa hai. Koi kam nahi kar raha. Ab market me jo limited samaan hai. Use unlimited log lene jayenge to kya hoga. Jahir si bat hai un chijo ke dam/prize high ho jayegi. Kyuki jo bhi chij kam hoti hai use jada log lena chahte hai to automaticaly uski prize badha di jati hai. Jaise ki aap gold ko hi le lijiye. Gold duniya me kam hai to uski pariz jada hai. Kyuki bahut se log use lena chahte hai.
India ke arthvyavsta ko mentain rakhne ke liye. RBI sirf utne hi currency chhapti hai. Jitne ka saman market me availeble hai. Ye jankari RBI ko GDP (Gross Domestic Product) se milti hai. GDP ke rule ke anusar rbi utne hi currency ya note chhape jitne ki 1 year me india me product manufacturing huye hai. Agar rbi ne gdp ki bat na mankar jada currency chhap di. To market me jo samaan hai. Unke prize badh jayenge. Pura market ka balance bigad jayega.
Inn sabhi bato ko madhya najar rakhte huye hi rbi unlimited currency nahi chhapti. Rbi jada currency tabhi chhap sakti hai jab india me jada se jada product manufacturing ho. Matlab ki jitne ka saman market me available hoga utna hi paisa rbi chhap sakti hai.

Zimbambwe ne Unlimited Currency chhape to kya hua tha?

2001 me zimbambwe jo bahut hi garib desh tha uske president ne sochha. Kyuna ham log khub sare currency chhap kar garib logo me bat de. Isiliye unhone currency chhapna start kiya, aur sabhi logo ko bhar bhar ke paise bat diye. Isse kya hua ki market me product kam the aur lene wale jada to automatic sare product ke prize badh gaye. Is se zimbambwe me mahangai badh gai. Ab agar unhe 1kg rice bhi lena hota tha to bahut sara paisa lekar jana hota tha. Iss situation ko handle karne ke liye vaha ke sarkar ne aur paisa chhapna start kiya. Yahi nahi unhone "one hundred trillion dollars" ka bhi note chhap diya jo ki duniya ka sabse bada note tha.

Duniya-Ki-Sabse-Badi-Currency-Zimbambwe-1-Trillion-Dollars - Tech Hindi Tricks
Duniya-Ki-Sabse-Badi-Currency-Zimbambwe-1-Trillion-Dollars

Is se bhi zimbambwe ki samsya nahi suljhi ab vaha 1 us dollar ki kimat 10^25 itni ho gai. Inn sare samsyao ko dekhte huye zimbambwe ki government ne zimbambwe ke sare currency ko ban kar diya. Aur unhone bahri desh ke currency ko apne desh me chalane ka nirnay liya.

To friends apne dekha unlimited currency chhapne ka natija kya hua. Zimbambwe ki arthvyavstha uthal puthal ho gai. Isiliye hamari RBI(Reserve Bank of India) unlimited note nahi chhapti.
To friends aise hi important and helpful information aap chahte hai. To aaj hi hamare iss site ko subscribe kar le. Taki jo bhi post mai yaha dalu uski notification apko email dwara mil sake. Aur ye bilkul free hai.

Agar apko hamara aaj ka post achchha laga ya ab bhi apke man me koi sawal hai to aap comment jarur kare. Koi suggetion ho to aap contact us par de sakte hai.
Aap hamse yaha connect ho sakte hai...!!!

Facebook :- facebook page [Follow]

Twitter :- twitter page [Follow]

Google+ :- google+ page [Follow]

YouTube :- YouTube channel [Subscribe Now]

To friends aaj ke liye bas itna hi jald milenge apse ek naye intresting and important topic ko lekar tab tak ke liye namskar jai hind vande matram.

Post a Comment

Agar Post Achchha Lage To Comment Kare.

Previous Post Next Post