क्या-मतलब-है-इन्-अलग-अलग-डेबिट-कार्ड्स-का - Tech Hindi Tricks
क्या-मतलब-है-इन्-अलग-अलग-डेबिट-कार्ड्स-का
Hello, Namskar Dosto,
Swagat hai aap sabhi ka tech hindi tricks blog / website par.
Friends, apne rupay-visa-master debit card ke bare me suna hi hoga. Jaise hi ham apne bank me debit card ke liye apply karte hai. To bank hame rupay-visa-master debit card de sakta hai. Par friends kya apko pata hai. Bank ye 3 different type ke debit card hame kyu deti hai. Aaj ki post me ham yahi janenge. To chalo friends sikh lete hai ki india me bank hame ye 3 different type ke dibit card kyu deti hai.

Debit Card Ki Jarurat Kyu Hai?

Friends bahut pahle ye hota tha. Hame agar bank me paisa add karna hai ya nikalna hai, to hame bank me jakar line lagani padti thi. Iss tarike se ham bank me paise add karte the ya nikalte the.But bank me jada logo ke account hone ki vajah se jada line hone lagi. Yaha logo ko apne hi paise nikalne ke liye badi badi line me khada hona pad taha tha.

Isiliye yaha ek concept design ki gai atm card. Sabhi banko ne apne apne atm card apne costumer ko diya aur sabhi jagah atm machine lagakar kah diya ki apko paise nikalne ke liye ab bank me aane ki jarurat nahi. Par yaha probleam tab aai jab ham koi shopping karenge ya kuchh aur karenge to pahle hame atm me jakar paise nikal ke karna pad raha tha.


Jaise agar hame koi saman buy karna tha to atm me jakar paise nikalne ke bad vo saman buy karke hame dukandar ko paise dene padte the. Fir dukandar use firse bank me jama karvaye. Ye process bahut hi lengthy ho gai thi. Isiliye yaha debit card ki concept ko design kiya gaya.



Kaise Master & Visa Card ne Uthaya Fayda?

Par friends apko to pata hi hai koi kam itna saral nahi hota. Isme bhi ek probleam aai ki agar mera account sbi me hai aur aapka account kisi aur bank mai.To ham ek dusre ko payment nahi kar pa rahe the. Kyuki yaha apka bhi usi bank me account hona jaruri tha. To friends apko to pata hi hai ki duniya me kitne hi bank hai. Aur kitne hi log alag alag debit card use karte hai. Issi bat ka fayda master card and visa card compony ne liya.

Master & Visa Card Ne Failaye Apne Pair

Inko pata tha ki, logo ko shopping karne ke liye, dusre bank ke account holder ko paise dene ke liye dono ka ek hi bank me account hona jaruri hai. To master card and visa card payments network ban gaye and jitne bhi bank hai sabse ty-up kar liya. Sabhi banko ki access le li. Inhone banko se kaha ki ham apko ek card number denge aap uspar hamare compony ka name print karke logo ko de de. Iss se sabhi cardo ke bich ek network ban jayega. Aur sabhi logo ka data ek hi jagah store ho jayega.

Jaise agar aap kisi dukan me shopping karke payment ke liye visa card se swipe karte hai. To ye request visa walo ko milti hai.Sabhi banko se ty-up and sabhi account ki access hone ki vajah se visa ko sabhi account ka balance pata hai. Agar apke account me balance hai to visa apke account me jakar ammount debit karta hai. And jaha apko payment karna hai unke bank account tak pahucha deta hai. 


To friends visa and master card ek payment network hai. Jo mediator hai. Sabhi banko ke bich me aur aap jise payment kar rahe hai uske aur apke bich me.Yaha problem ye thi ki ye dono compony us ki thi jo har ek transaction ke liye fee charge karti thi.



Kaise Aa gaya Rupay Debit Card

Ham india me rahte hai and india me hi transacton karte hai. To kyu ham apne transaction details bahar ke deshon ko de. Kyu ham har ek transation ke liye dusre desho ko fee de. Isi bat fayda and isi bat ko soch kar india ke NPCI [National Payments Corporation of India] ne jo india ke sabhi bank and sabhi payment ko monitor karta hai.

To npci ne socha ki india me agar itne transaction ho rahe hai. Aur ham itni fee bahri desho ko de rahe hai. To npci ne sabhi india banko se ty-up and access lekar rupay debit card banaya. Yaha hamare desh ka paisa hamare desh me hi rahega. Aur hame transaction ke liye jada fee nahi deni padegi.



Kyu Use Kare India Me Rupay Debit Card?

Yaha ab visa and master card agar aap lete hai, to aap use bahri desho me bhi use kar sakte hai. But rupay card india ke logo ke liye banaya gaya hai isiliye 100% iski acceptance india me hi hai. But rupay card ne kisi kisi desho me ty-up kiya hai isiliye rupay debit card vaha bhi chalta hai. Iske liye inhone ek card aur design kiya hai rupay platinum jo har kisi ko nahi milta.

Agar aap banko se visa-master card lenge to apko un compony ko paise dene padte hai. Par agar aap rupay card issue karte hai. To apko ek paisa bhi nahi dena hota. Isiliye jada se jada bank rupay debit card hi apne bank dharko ko de rahi hai. Kyuki ye kam prize me ya kahe free hi mil jata hai. And yaha hame jada transaction fee bhi nahi deni hoti ham easy tariko se kam fee diye transaction kar sakte hai. And isse hamare desh ka paisa hamare desh me hi rahega. Isse hamare desh ke economy ko fayda hoga.


To friend aap samjh hi gaye honge ki rupay-visa-master debit card ek payments network  hai. Jo ek bank se dusre bank me paise pahucha rahe hai.Visa-master ye puri duniya me accept hoti hai and rupay debit card sirf india me hi accept hai.


To friends aise hi important and helpful information aap chahte hai. To aaj hi hamare iss site ko subscribe kar le. Taki jo bhi post mai yaha dalu uski notification apko email dwara mil sake.Aur ye bilkul free hai.


Agar apko hamara aaj ka post achchha laga ya ab bhi apke man me koi sawal hai. To aap comment jarur kare.Koi suggetion ho to aap contact us par de sakte hai.

Aap hamse yaha connect ho sakte hai...!!!

Facebook :- facebook page [Follow]

Twitter :- twitter page [Follow]

Google+ :- google+ page [Follow]

YouTube :- YouTube channel [Subscribe Now]

To friends aaj ke liye bas itna hi jald milenge apse ek naye intresting and important topic ko lekar tab tak ke liye namskar jai hind vande matram.

Post a Comment

Agar Post Achchha Lage To Comment Kare.

Previous Post Next Post