Masked-Aadhaar-kya-hai - Tech Hindi Tricks
Masked-Aadhaar-kya-hai
Hello, Namskar Dosto,
Swagat hai aap sabi ka tech hindi tricks blog / website par.
India me identification ke liye sarv shresth mana jane wala document ya id aadhaar hai. Friends india me lagbhag 100 carod logo ke pas UIDAI (Unique Identification Authority of India) dwara diye aadhaar card hai. Jo hamare pahchan ko darshati hai.

Iss setuation me uidai ko aadhaar card ki surksha ki jimmedari kisi chunoti se kam nahi.Isiliye friends uidai samay samay par new features late rahti hai. Aaj ki iss post me ham uidai ki ek aise hi feature ki bat karenge to chalo friends dekhte hai kya hai vah feature.

Kya hai uidai ka ye new feature?

Friends, uidai ke iss new feature se aap apne aadhaar card ke numbers ko logo se chhupa sakte hai. Jaise yaha aap apne aadhaar card ke numbers ko ek masked pahnate hai. Usi prakar iss new feature ka name bhi rakha gaya hai. Iss new feature ka nam Masked Aadhaar hai.

Iss feature ki majedar bat ye hai ki iss se apke aadhaar card ke 12 digits me se 8 digit chhupa diye jate hai. Aur sirf 4 digit hi show kiye jate hai.

Uidai ki mane to unhone kaha hai. Ki iss aadhaar card ko bhi har jagah vaidh mana jayega. Aap iss aadhaar card ko kahi bhi upyog me la sakte hai. Masked aadhaar card download karne ke liye aap niche diye gaye sare steps ko apna sakte hai.

Masked Aadhaar Card Download Karne Ke Liye Aap Follow Kare Inn Steps Ko

Sabse pahle aap ko iss masked aadhar ko download karne ke liye aadhaar card ke official website uidai.Gov.In par jana hoga.

Ab apko sabse niche aadhar enrolment section ko search karke aadhaar download par click karna hai.

Yaha aap sabse pahle aadhaar card,vartual card ya enrolment id inme se koi bhi option ko select kare jiske jariye aap e-aadhaar download karna chahte hai.

Ab apko yaha normal aadhaar aur masked aadhaar ka option milega. Jaha apko masked aadhaar ko download karne ke liye masked aadhaar ko select karna hai.

Iske bad apne aadhar card,vartual card ya enrolment id inme se jo bhi option select kiya hai. Yani aap jiske jariye e-aadhaar ko download karna chahte hai. Use enter kar de.

Iske bad aap niche.
1.Your name
2.Pincode
3.Security code
Ityadi dal kar otp ke liye request kar de.

Apne jo mobile number aadhaar card se link kiya hai.Us mobile number par otp aaye hi aap use vaha enter kar de aur apna masked aadhar card download kar le.

Logo ke aadhaar card ki surksha hetu uidai ne iss new feature ka banaya hai. Aap isse normaly use me la sakte hai.

Ummid hai friends aapko uidai (unique identification authority of india) ke iss new feature ke bare me ab pata chal hi gaya hoga.

To friends aise hi important and helpful information aap chahte hai. To aaj hi hamare iss site ko subscribe kar le. Taki jo bhi post mai yaha dalu uski notification apko email dwara mil sake. Aur ye bilkul free hai.

Agar apko hamara aaj ka post achchha laga ya ab bhi apke man me koi sawal hai to aap comment jarur kare. Koi suggetion ho to aap contact us par de sakte hai.
Aap hamse yaha connect ho sakte hai...!!!

Facebook :- facebook page [Follow]

Twitter :- twitter page [Follow]

Google+ :- google+ page [Follow]

YouTube :- YouTube channel [Subscribe Now]

To friends aaj ke liye bas itna hi jald milenge apse ek naye intresting and important topic ko lekar tab tak ke liye namskar jai hind vande matram.

Post a Comment

Agar Post Achchha Lage To Comment Kare.

Previous Post Next Post