If-You-Lost-Credit-Card-You-Will-Get-Compensation - Tech Hindi Tricks
If-You-Lost-Credit-Card-You-Will-Get-Compensation
Hello, Namskar Dosto,
Swagat hai aap sabhi ka tech hindi tricks blog / website par.
Friends, Akshar log jeb me paise rakhne ke behtar jeb me credit card rakhna jada pasand karte hai. Aise me kabhi apka credit card kho jaye and koi us credit card ka miss-use kar de.To aap yahi sochenge ki ab iski bharpai koun karega.Aur aap tension me aa jate hai. To friends tension lena chhodo iska bhi tod hai.
Jab bhi aap ka credit card kho jaye to apko tension lene ki jarurat nahi hai. Apke us credit card kho jane par and us credit card ka miss-use hone par jis bank se apke credit card liya hai. Vo bank iski bharpai karegi.

Bank iski bharpai isliye karegi kyuki bima company se uska karar hua rahta hai. Jab bhi apka credit card kho jaye to apko apne credit card dene wale bank ko iski jankari and form fill karke dena hota hai.

Bima company us mamle ki puri tarah se janch karegi. Agar koi fraud najar aata hai. To bima company bank ko ye suchit kar deta hai. And bank apke application ko reject kar deti hai.

Credit Card Kho Jane Par Kya Kare?

Jab bhi apka credit card kho jaye.To sabse pahle apko iski jankari related bank ko turant deni hai.

Apko najdiki police station me iss mamle ki puri report likhwani hai.And uski ek copy apne pas rakhni hai.

Jab aap ye sabhi jaruri formality's complete kar lete hai to apke pas apke credit card kho jane ka pakka sabut ho jata hai. And bank apke application ko accept karke. Apke nuksan ki bharpai karta hai.

Credit Card Ki Surksha Ke Liye Kya Kare?

Kisi bhi important vastu ki agar ham seccurity ya surksha nahi karenge. To isme hamara hi loss hai. Inhi important chijo me apka credit card bhi samil hai. Aap apne credit card ke surksha ke liye niche diye kadam apna sakte hai.

Apne sabhi credit card's ki basic jankari apne pas likh kar rakhe.Ex.-
1.Credit card number
2.Credit card kis bank ka hai.
3.Us credit card ki smapt tithi kab hai.
4.Jis back ka credit card hai.Us bank ka helpline no.

Iski ek prat apne ghar ya office me bhi rakhe. Taki wakt aane par ye kam aa sake.

Credit card dene wale bank ka helpline number apne mobile me bhi save kare. Taki kabhi apka credit card kho jaye to aap bank ko suchit karke. Credit card ke miss-use ko rok sake.

Agar apke pas kai credit card's hai.To aap card protection plan yani cpp ka upyog kar sakte hai.

Aap kisi se bhi apke credit card ki koi bhi jankari shere na kare.

Ummid hai friends, apko ab pata chal hi gaya hoga ki agar apka credit card kho jaye to apko kaunse steps follow karke hai. And sath hi sath apko apne credit card ki surksha ke liye kya karna hai.

To friends aise hi important and helpful information aap chahte hai. To aaj hi hamare iss site ko subscribe kar le. Taki jo bhi post mai yaha dalu uski notification apko email dwara mil sake. Aur ye bilkul free hai.

Agar apko hamara aaj ka post achchha laga ya ab bhi apke man me koi sawal hai to aap comment jarur kare. Koi suggetion ho to aap contact us par de sakte hai.
Aap hamse yaha connect ho sakte hai...!!!

Facebook :- facebook page [Follow]

Twitter :- twitter page [Follow]

Google+ :- google+ page [Follow]

YouTube :- YouTube channel [Subscribe Now]

To friends aaj ke liye bas itna hi jald milenge apse ek naye intresting and important topic ko lekar tab tak ke liye namskar jai hind vande matram.

Post a Comment

Agar Post Achchha Lage To Comment Kare.

Previous Post Next Post